Search This Blog

Monday, November 22, 2010

Jul

Kis duniya ka Islam hai yeh

  
Dedicated to any wild animal who labels himself as human and then as Muslim. Any bloody murderer who kills any innocent Muslim or non Muslim and then justifies that Islam taught him to do so. I hate you all. You are not even human and Islam is not even close to you.
I am so hurt. I am hurt for all the pain of innocent humans specifically in my country and at all the places in all the world wherever they are killed/suffered for whatever reason and people doing so called themselves proud Muslims.
I do complain when a non muslim does something terrible. But they are not on the right path. They are not Muslims. But when people do the killings and they are Muslim, it hurts me and my really great and peaceful religion really bad.
~*~ Kis duniya ka Islam hai yeh~*~
Mein kehta hoon insaan nahin
jo khud ko muslim kehte hein
jo kufr mitaney nikle hein
per qatl jo deen ko kerte hein

kya aurat, bachey, bazurg, jawan
nahin dikhte aqal ke maron ko
parhen kalma Nabi pyaarey ka
phir maaren Nabi k pyaaron ko

Islam to hai bas utna sa
k jitna inko suit kiya
dil kiya to jhooti shahadat di
dil kiya to sach ko jhoot kiya

Qaran uthaey hathon mein
aur sar pe sharaa ka parcham hai
eemaan dilon mein ho na ho
bandooq ki goli mein dum hai

jab chaha mimbar loot liye
jab chaha nimazi maar diyey
jab chaha school kiyey veeran
jab chaha baagh ujaar diyey

Per yeh to hamesha haq per hein
jisey yeh maren, taaweel buhut
woh muslim ho ya na muslim
hai inkey paas daleel buhut

aur kaun inhen samjhaye ga
in jhootey numberdaaron ko
Eemaan se khali roohon ko
eemaan ke thekedaron ko

Islam hai deen muhabbat ka
jisey nafrat mein rung daala hai
jiss deen ka tum dam bharte ho
uss deen ka naam uchhala hai

nasamjho, qatl-e-aam hai yeh
diya tum ne naam ibadat ka
tum maasoomon ki jaan bhi lo
aur rakho azm shahadat ka?

kya isko samajhna mushkil hai?
kitna seedha qanoon hai yeh.
ik jaan bhi nahaq li tum ne
to kul insaan ka khoon hai yeh

Aur tum ne kisko nahin mara
aur kiska lehaz yahan baqi
jab khoon baha ker sajde kiye
to rahi nimaz kahan baqi

jo lin tum ne, jo leni hein
kya qeemat hai un janon ki
bas Laanat hai tum logon per
hai laanat sab insaanon ki

No comments:

Post a Comment